Meri zubani Rohan ki kahani-3

Pichla bhaag padhe:- Meri zubani Rohan ki kahani-2

Hello doston, main Karan firse aap sabhi ka swagat karta hu. Pichli story mein aapne jaana ki Rohan Aman ko milta hai. Lekin uske dost ke hisaab se nahi balki uske padosi Payal ke mangetar ke hisaab se. Isiliye Rohan ne apne dil se Aman ko nikaal diya.

Tabhi Payal ka accident ho jata hai, aur Rohan Payal ka khayaal rakhta hai. Usi waqt Aman Rohan ka firse saamna karta hai. Ab aage ki kahani batata hu Rohan ke hisab se.

Rohan to me: Hospital mein jab main Payal ke liye medicine lekar wapas aaya, to maine dekha ki Aman Payal ki side mein baitha hua tha.

Me: Aman, tum kab aaye?

Aman: Abhi aaya, subah Payal ne call kiya tha.

Me: Acha.

Aman: Tum mujhe kyun nahi call kiye?

Me: Tumhara number mere paas nahi hai.

Fir main Aman ko dawayi pakda kar waha se baahar chala aaya. Main sochne laga ki Aman sach mein mujhe bhool chuka tha. Tabhi peeche se Aman aa gaya aur

bola-

Aman: Idhar kya kar rahe ho?

Me: Khuli hawa khaane aaya tha. Theek hai chalta hu.

Ye bol kar jab main jaane laga, to Aman ne mujhe peeche se zordaar hug kiya. Mujhe us waqt aisa laga ki, koi mere andar fir se jaan bhar diya ho. Kyunki teen saal ke baad mujhe Aman ne hug kiya tha. Kuch der baad Aman side ho gaya.

Aman: Sorry yaar, aisa karne ke liye.

Me: Tum to pehle bhi kar chuke ho hug mujhse.

Aman: Payal ki wajah se thoda tension mein tha, isliye aisa kiya yaar.

Me: Oh to Payal ke liye.

Mujhe thoda bura laga. Isliye main direct ghar chala aaya.

Usi shaam ko Payal aur Aman dono hi ghar wapas aa gaye. Usi waqt mein naha kar aaya tha, isliye thoda bheega hua tha, aur main sirf shorts mein tha.

Main usi haalat mein Payal ko dekhne chala gaya. Fir maine dekha Payal ki side mein Aman baitha tha. Lekin uski nazar sirf mere pe hi thi. Maine aur ek baat notice ki, ki mujhe dekh kar wo poora uncomfortable ho chuka tha.

Aman ki body se paseena aa raha tha, isliye wo direct bathroom chala gaya. Mujhe thoda ajeeb laga ki Aman ko paseena kyun aa raha tha mujhe dekh kar. Fir agle din main jab bed se utha, to maine dekha ki Aman mere bagal mein hi soya tha.

Me: Aman! Tum yaha kya kar rahe ho, aur ghar mein kaise ghuse?

Aman: Payal ne tumhare room ka extra chaabi di, aur coffee powder dene ko bola tha.

Me: Fir mujhe jagaye kyun nahi, aur mere paas kyun lete the?

Aman: Purani yaadein yaad aa gayi. Isliye bagal mein let gaya.

Main thoda sochne laga, ki Aman aise kyun behave kar raha tha. Fir main jab kitchen jaa raha tha, to Aman bhi mere peeche-peeche aa gaya. Maine jab coffee powder lene ke liye hath upar kiya, tabhi Aman direct mere peeche chipak gaya, aur mere hath ke sath apna hath rakh diya.

Tabhi main peeche ho gaya, aur aatte ke dabbe ki taraf Aman ka hath lag gaya, aur saara aatta hamare upar gir gaya.

Fir hum dono ek-doosre ko dekh kar hasne lage, aur ek-doosre ke body se aata saaf karne lage. Tabhi maine dekha ki Aman ka lund poora khada tha. Main samajh gaya ki Aman abhi bhi mujhse attract hota tha, isliye wo mujhe dekh kar ajeeb si harkatein karta tha.

Me: Chalo shower mein naha lo, warna baahar koi dekh kar darr jayega.

Aman: Theek hai.

Fir Aman jab bathroom gaya, tabhi main bhi uske peeche chala gaya.

Aman: Oye, tum kya kar rahe ho?

Me: Tumhare sath nahane aaya hu.

Aman: Kyun?

Me: Bachpan mein hum kitne baar nahaye hai, to firse aaj us yaad ko jeene ko mann kiya.

Fir hum dono ne nahate waqt ek-doosre ko sabun lagaya. Aman ki body poori mast thi, poori muscular. Jab Aman mujhe sabun laga raha tha, to wo baar-baar meri kamar ki aur hath laga raha tha.

Aman: Rohan, tumhari kamar to abhi bhi ladki ki tarah hi hai.

Me: Tum to poore hatte-katte ho gaye ho. Tumhari to ek cheez to bahut badh gayi hai.

Aman samajh gaya ki main uske lund ki baat kar raha tha.

Aman: Haa wo to hai, lekin tum agar chaaho to us cheez ka enjoy le sakte ho.

Me: Tumhari to mangetar hai. Tum to bahut enjoy dete honge?

Aman: Tumhara koi nahi kya?

Me: Mera to tha ek, lekin wo bina bataye hi bhaag gaya. Uske baad mujhe koi pasand hi nahi aaya.

Aman jaan gaya ki main uski baat kar raha tha.

Aman: Yaar hum bachpan mein jo bhi karte the, wo hamara bachpan tha. Ab tum aage badho.

Ye bol kar Aman waha se towel pehan ke baahar aa gaya. Lekin main shower ke neeche hi tha, aur sochne laga ki, kya sach mein Aman mujhe kabhi pasand nahi karta tha. Agar wo mujhe pasand nahi karta tha, to mujhe dekh kar uncomfortable kyun hua.

Main sach mein nahi jaan paa raha tha, ki Aman aakhir kya chaahta tha. Wo Payal ke sath mein reh kar bhi mujhse aisa behave kyun karta tha. Ab maine ek plan banaya. Maine ek dating app mein ek ladke ko apne ghar pe bulaya raat ko. Main dekhna chaahta tha ki Aman mere baare mein kya sochta tha.

Isliye main raat ko Payal ke room chala gaya, aur Aman paas mein hi tha, to bol diya ki-

Me: Aaj mere ghar ek friend aa raha hai.

Ye keh kar main chala aaya. Raat ko 9:30 baje jo dating app wala ladka tha, wo aaya. Mere plan ke mutabik hamne dinner kiya, aur main jaan-boojh kar, darwaze ke paas hi usse baat karne laga. Fir jab hum kapde utaar ke kuch karne jaa rahe the, tab direct Aman chala aaya.

Aman: Ye kya ho raha hai?

Me: Mere room mein tum kyun aaye?

Aman: Tum dono nange kyun ho?

Fir wo ladka darr kar pant pehan kar chala gaya. Aur main bola-

Me: Meri life, meri marzi, tum kyun aaye idhar?

Aman: Tumhe ladke pasand hai kya?

Me: Tum nahi jaante ho kya iska jawaab?

Fir Aman samajh gaya mera jawaab, ki maine bachpan mein hi usko bol diya tha, ki mujhe wo pasand tha. Isliye hi main waha se chala gaya.

Ab main samajh gaya tha, ki wo mujhe abhi bhi chaahta tha. Lekin wo darr raha tha, isliye main ab usse tadpa kar uske muh se mere liye apna pyar nikalunga.

Agle part mein wo jaanenge. Abhi aapko kahani kaisi lagi wo aap [email protected] par apne comment bheje.

Agla bhaag padhe:- Meri zubani Rohan ki kahani-4