Meri zubani Rohan ki kahani-1

Hello doston, mera naam Karan Malhotra hai. Main Delhi mein rehta hu. Aaj main jo aapko batane jaa raha hu, wo ek ladke ki kahani hai. Main umeed karta hu ki aapko ye kahani pasand aayegi.

Main ek maheena pehle Bangalore gaya hua tha chutti manane. Waha pe mujhe ek ladka mila, aur uske sath achi dosti ho gaya. Hum dono akele hi ghoomne gaye the, to hamne sath enjoy karne ka fainsla kiya. Isliye hum ek room book kiye.

Us ladke ka naam Rohan tha. Wo dikhne mein bahut gora aur thoda slim figure ka tha. Jab hum bed pe sone ke liye gaye, tab usko kisi ka call aa raha tha. Lekin wo baar-baar kaat raha tha. Fir maine poocha-

Me: Call kyun kaat rahe ho?

Rohan: Bas ek friend ka hai.

Me: Friend ya girlfriend?

Rohan: Meri koi girlfriend nahi hai.

Fir maine thodi zid ki: Kya baat hai?

Rohan: Tum mujhe judge nahi karoge na?

Me: Main judge kyun karunga?

Rohan: Actually mere boyfriend ki call hai.

Me: Kya!

Main poora chaunk gaya. Lekin thodi der rukne ke baad main normal ho kar usko bola-

Me: I am so sorry. Mere chaunkne se tumhe ajeeb laga ho to.

Rohan: Nahi yaar, main samajhta hu.

Fir maine khul ke baat ki usse.

Me: Aaj ke zamane mein ye sab normal hai yaar. Main bhi isko support karta hu.

Fir Rohan bhi thoda normal hua.

Me: Actually ek baat poochu?

Rohan: Haa.

Me: Kya tum apne baare mein thoda bataoge. Mujhe iccha ho rahi hai jaanne ki.

Ab Rohan mujhe uski kahani batane laga.

Rohan: Main Rajasthan se hu. Hum waha ke rajwadi khandan mein se hai. Isiliye hum bahut ameer the. Ameer hone ki wajah se maine bachpan maine kabhi takleef ka saamna nahi kiya tha.

Rohan: Bachpan mein mera ek dost tha. Uska naam Aman tha. Uske sath main zyada time khelta tha. Hum dono itne close the, ki hum raat ko bhi sath-sath sote the. Jab hum thode bade hone lage, to mujhe Aman ko dekh kar ek ajeeb si hulchul mehsoos hoti thi.

Rohan: Mujhe pata nahi hota tha, lekin main jab bhi Aman ke sath hota tha, tab mujhe Aman ke alawa aur kuch bhi nahi dikhta tha. Ek raat hum dono soye hue the ki tabhi mujhe aisa laga ki koi mere gaal ko kiss kar raha tha. Tabhi meri aankh khul gayi to maine dekha ki wo Aman hi tha.

Rohan: Main fataak se uth kar khada ho gaya aur usko kaha, “Ye kya kar rahe the Aman”!

Aman: Kuch nahi yaar.

Rohan to Aman: Jhooth mat bolo. Gaal pe chumma kyun kar rahe the?

Aman: Tumhare gaal bahut soft hai yaar. Bilkul ladki ki tarah.

Rohan to Aman: Lekin main to ladka hu naa.

Aman: Haa magar tumhara badan bilkul ladki ki tarah hi gora aur patla aur soft hai na, isiliye. Please ye baat kisi ko mat bolna.

Rohan to me: Us waqt maine socha ki wo mazaak kar raha tha mere sath, aur main theek hai bol kar so gaya. Uski agli raat ko to Aman mujhe poora lipat ke soya hua tha. Mujhe to uska sath acha lagta tha, isliye main bhi uska sath poora deta tha. Ab to hum har raat ko aise hi chipak ke sote the.

Rohan to me: Ek baar to usne gaal ko kiss karte-karte direct honth ko choom liya. Mujhe thoda ajeeb laga, lekin bahut acha laga. Ab jaise-jaise umar badhti gayi, mere liye Aman nazdeek badhta gaya. Lekin mujhe Aman ka samajh nahi aa raha tha, ki wo bhi mere baare mein kuch sochta tha ki nahi.

Rohan to me: Kyunki wo sirf raat ko hi mujhse chipakta tha. Magar din mein mujhse doori bana ke rehta tha.

Ek baar to maine dekha ki Aman ek ladki ke hontho pe kiss kar raha tha. Jab maine ye dekha to mujhe pata nahi bahut bura laga. Aur main waha se chala aaya. Jab raat ko wo sone ke liye aaya, aur mujhse chipakne laga, to main bola-

Rohan to Aman: Door raho mujhse.

Aman: Kyun yaar?

Rohan to Aman: Aaj tum us ladki ko kiss kar rahe the na?

Aman: Haa, to kya hua usme?

Rohan to Aman: To fir ab mujhse kyun chipak rahe ho? Jao uske sath.

Aman: Tum gussa kyun ho rahe ho?

Rohan to Aman: Ek baat bologe?

Aman: Haa poocho.

Rohan to Aman: Tum mujhse jo chipak rahe ho, kyun kar rahe ho?

Aman: Mazaak se chipak raha hu.

Rohan to Aman (thoda udaas ho kar): Sirf mazaak!

Aman: Haa, tumhe kya laga main tumse pyar karta hu?

Rohan to Aman: Haa.

Aman: Tum kya ladki ho jo main pyar karunga?

Rohan to Aman: Lekin mujhe tumse thoda pyar jaisa lag raha hai.

Aman: Tum pagal ho kya?

Rohan to Aman: Kyun?

Aman: Hum dono ladke hai, to pyar kaise ho sakta hai?

Rohan to me: Mujhe thoda bura laga, isliye main uth kar waha se chala aaya, aur alag kamre mein jaa kar so gaya.

Uske baad se main Aman ke sath zyada nahi milta tha. Jab raat ko sote the, tab main uske sath chipakta nahi tha.

Ab Aman thoda udaas rehne laga. Isliye mujhe use dekh kar acha nahi lagaa.

Rohan to me: Fir ek raat ko jab hum so rahe the, tab main uske seene se jaa kar lipat gaya, aur uske gaal ko kiss karne laga. Tab Aman ki aankhon se aansu aane lage,

Rohan to Aman: Kya hua, ro kyun rahe ho?

Aman: Kuch nahi, bas aise hi.

Rohan to Aman: Sorry, ab tumse gussa nahi karunga. Main jaan gaya ki meri hi galti thi.

Rohan to me: Tab Aman kuch bolna chaah raha tha. Lekin kuch bol nahi paaya, aur bas chipak ke mere sath so gaya. Ab hum pehle ki tarah mil kar sote the, aur main sirf usi mein hi khush rehne laga. Aise hi chalta raha. Fir jab hamara dasvi ka exam khatam hua, tab main do maheene ke liye mere mama ke ghar gaya tha. Jab wapas aaya to pata chala ki Aman ke ghar waale Rajasthan se shift ho kar Delhi chale gaye the.

Rohan to me: Mujhe bahut dukh laga ki main aakhri baar Aman ko bye nahi bol saka. Main sirf Aman ko hi yaad karta gaya, aur idhar jaise-taise karke apni 12th ki padhayi chaalu ki. Do saal ho gaye, lekin Aman ka kuch pata nahi chala. Jab meri padhayi khatam hui, tab MBA karne ke liye main baahar jaane ka socha.

Rohan to me: Tab maine MBA ke liye Delhi jaane ka socha, kyunki mujhe abhi bhi lag raha tha ki do saal ke baad bhi shayad meri mulakat Aman se ho jayegi. Kyunki mujhe sirf itna hi pata tha ki Aman ke ghar waale Delhi mein rehte the.

Isliye maine Delhi chuna MBA ke liye, aur Delhi mein ek achi university mein join kar liya aur ek flat mein rehne laga. Ab aage ki story agle part mein. Agar kahani achi lagi ho to [email protected] par apne comment zaroor bheje.

Agla bhaag padhe:- Meri zubani Rohan ki kahani-2